DAROD SHARIF KI FAZILATE HADEES KI ROOSHNI MEIN
[1] Darood gunaho ka kafara hai [2] Darood se amal pak hota hai [3] Darood padhne se darajat buland hote hai [4] Darood padhne ke liye ek qirat ajar likha jata jo ke uhud pahad jitna hota hai [5] Darood padhne wale ko pemane bhar bhar ke sawab milta hai [6]Jo shakash darood ko hi apna wazeefa bana leta hai Allah pak us ke duniya aur aakhirat ke kaam apne zime le leta hai [7] Darood padhne ka sawab ghulam azad karne se bhi afzal hai [8] Darood padhne wala har kisam ke haulo se nijat pata hai [9] Waliye do jahan nabi (s.a.w) darood padhne wale ke imaan ki khud gawahi denge [10] Darood padhne wale par Aqa do jahan ki shifa’at wajib hojati hai [11] Darood padhne wale ke liye Allah Ta’ala ki raza aur rehmat likh di jaati hai [12] Allah Ta’ala ke ghazab se aman likh diya jata hai [13] Us ki peshani pe likh diya jata hai ke yeh nifaq se bari hai [14] Likh diya jata hai ke yeh dozakh se bari hai ...